Ham sarkar ke khilaf is tarah se lad rahe hain jese vo hamari dushman ban gayi he, corruption koi nayee cheej nahi he, ye hamare desh me kai dashko se vidhyman he, phir abhi jo Government he usse kesa dwesh? hame Government ke sath kam karna chahiye Corruption ko khatam karne me, agar ye government corruption khatam karne ke liye willfull nahi he to is Government jo avishwas prastav lakar hataiye, agle election me apne pasand ke log laiye, har lok sabha chhetra se us ummidwar ko nirdaliya chuniye jo corruption ke khilaf he, manavtavadi mulyon par aadharit he. Agar ye desh vyapi aandolan he to har sahar se chuniye ese Member of Parliyement ko jo value-based he, ethical he, laiye satta me or banaiye nai sarkar.... kya is sab ke liye willfull hain ham log? hame kisi se bhik nahi mangni he, ye log jinse ham lok pal bill ko pass karane ke liye request kar rahe hain vo hamare sevak or partinidhi hain, hata deejiye inhe... or aatm samman se jina sikhiye.. kisi ke samne hath mat felaiye... khud shai raste se satta me aaiye or kary keejie, agar hamari janta ye reforms chahti he to sare lok sabha sadasya naye chun kar aayenge nai sarkar banegi or sushan aayega, jesa log chahte hain vesi sarkar laye, kisi political party ko support mat karo, logo ko chuno jo desh ko parinidhitva de sakte hain.. desh ko chala sakte hain.. jesa ham chahte hain...

No comments:

Post a Comment